Blogger Blog Me Basic Setting Kaise Karte Hai ?

Dosto aaj mai ek aise jankari batane ja raha hoon.ki is post ko pad kar aap apne blogspot blog ka basic setting bahut hi ashani se kar sakte ho, Blogger blog ka basic setting bahut simple hai.bas is article ko carefully padhe .
Aaj ham apko blogspot blog ka basic setting kaise karte hai?uske bare me batayenge, kyonki blogger blog ki basic setting bahut jaruri hai,basic setting sabhi blogger jo blogspot platform par blogging karte hai, uske liye blogger blog ka basic setting bahut important hai.
Ham sab log jante hai ki ham me se jyadatar blogger blogspot platform me hi blogging karna start karte hai, kyonki blogspot platform hame bilkul free service deti hai aur blogspot Google ka hi ek service hai, aur ise use karna bhi bahut ashan hai, isliye ham me se jyadatar blogger blogging ki start blogger platform se hi karte hai, aaj is technology ki duniya me sabhi log chahte hai ki unka bhi kam se kam ek blog ho, aur blog ke jariye apne jankari logo tak online puhcha sake. Ham jante hai ki blogging ka chhetra lagatar bad raha hai, chahe blogspot ho ya WordPress har koi chahta hai ki unka bhi apna ek blog ho, kuch log shoak se blogging karte hai to kuch log blogging ko business ke rup me viksit karte hai aur blogging se achhe khase income bhi karte hai, blogging har chhetra me popular hota ja raha hai.





Dosto agar aap blogspot platform par blogging karte hai to blog ka basic setting bahut important hai, aise bahut sare new blogger hote hai jo kisi tarah blog to bana lete hai, lekin shuruwat me unhe blogging ki utna jankari nahi hoti hai or unhe blog ki basic setting ko mistake kar dete hai ya default chhod dete hai, aise me unki blog par traffic bhi na ke barabar aati hai, or ve nirash ho jate hai.
Agar ham blog ki basic setting ko achhe se nahi karte hai to hamare blog ke SEO ya security par prabhav padta hai, jo blogger bilkul new hote hai vo aksar blogspot blog ki basic setting karte samay mistake kar dete hai, jinke wajah se unka blog search engine se remove ho jate hai, aise blog par traffic bhi nahi aati hai.
Aise to blogspot platform par lakho log blog banate hai lekin kuch log hi success ho pate hai eise isliye hota hai ki ve blogging ko kabhi seriously nahi leta hai, agar aap successful blogger banna chahte hai to blogging ke parti seriously lena hoga kyonki aaj kal blogging me competition bahut jyada bad gaya hai.
Jin logo ne blogspot par blog banaya hai aur blog ki basic setting karne me problems hoti hai ya blogger blog ki basic setting ke bare me utna jankari nahi hai to aiye mai basic setting ke bare me vistar purwak bataunga ki blogger blog par basic setting kaise karte hai.
To dosto aiye blogger blog ki basic setting kaise karte hai? Aur hamare blog ka traffic hamesha kaise ate rahe, kyonki search engine inhi setting ke duwara hi hamare blog ko crawl karti hai.

Ye Bhi Padhe-








loading...

Blogger Blog Ki Basic Setting Kaise Karte Hai ?

Apne blogger blog ki basic setting karne ke liye niche mai kuch step bata raha hoon, aap us step ko carefully read kare, aap is post ko follow karke blogspot blog ki basic setting bahut hi ashani se kar sakte ho.

Step-1

Sabse pahle apne blogger blog ki dashboard me jaiye.
1. Yaha Settings par click kijiye.
2. Ab Basic par click kijiye.





Step-2

Basic par click karne ke baad apko Title, Description, Privacy, Blog Address, Blog Authors, and Blog Readers etc setting ke options dikhai denge.
Title :
Title ke samne Edit par click kijiye.
1. Yaha aap apne blog ka name daliye.
2. Iske baad Save Change par click kijiye.





Description :

Description ke samne Edit option par click kijiye.
1. Yaha aap apne blog ka Description bhare, apka blog kis subject ke bare me hai use bhare. Yaad rahe Descriptions 150-160 characters se adhik nahi hona chahiye.

2. Blog Descriptions bharne ke baad Save Change par click kijiye.
Jisse apki blog description save ho jayegi.






Privacy :



Privacy ke samne Edit par click kijiye.
1. Ad your blog to our listings ?
Isme Yes par click kare.
2. Let search engines find your blog?
Yaha bhi Yes par click kijiye.
3. Dono options me Yes par click karne ke baad Save Change par click kijiye.




Publishing :

Blog Address -Iska use apko tabhi karna hai jab aap apne blogspot.com ka sub domain remove karke apne custom domain use karenge.


HTTPS :
Agar aap apne blogspot blog par custom domain use nahi karte hai to is feature ka use karke aap apne blog ki security ko improve kar sakte ho, yadi aap apne blog ke liye custom domain use karte hai to is feature ka laabh nahi utha sakte ho.
HTTPS Enable karne ke liye apko Yaha Yes select karna padega.tabhi apka HTTPS enable ho jayega. HTTPS only blogspot.com URL ke liye hai, agar aap custom domain use kar rahe hai to is feature ka use mat kijiye.




Permissions :

Agar aap apne blog ko kisi dusre Gmail ID se update ya manage karna chahte hai to is feature me kisi dusre Gmail ID ko add kar sakte hai, yadi aap apne blog ko khud manage ya update karna hai to is option ko kuch karne ki jarurat nahi hai, yadi aap apne blog ko ek se jyada log blog ko manage ya update karne ka permission dete hai to aap apne team ke rup me dusre authors ko add kar sakte ho.
1. Iske liye apko Sabse pahle Add Authors par click kijiye.
2. Ab aap is box me Email ID bhare.
3. Iske baad invite Authors par click kijiye.



Yaha aap ne jo Email ID enter kiya hai us me ek mail ayega jisme invitation link hoga us link par click karke invitation accept karna hai.


Blog Readers :

Sabse pahle Yaha Edit par click kijiye.
Yaha par apko kuch options dikhai denge. Jaise-Public, Private -only blog authors, Private -only these reader options etc.
1. Yaha Public ke option ko mark kijiye.
2. Ab aap Save Change par click kijiye.


To friends aap is tarah se apne blogspot blog ka basic setting kar sakte ho, fir bhi agar kisi prakar ki koi problems hoti hai to aap mujhe comments ke jariye puch sakte hai, yadi apko meri ye post pasand aayi hai to is post ko social media me share jarur kare.

▶Ye Bhi Padhe-



Post a Comment

4 Comments