Blogger Blog Ka Template Kaise Change Kare?

Aaj ki post me mai apko blogger blog ka template kaise change karte hai, uske bare me batane wala hoon, isse pahle post me mai apko blogger blog me Template Ka Color Change Kaise Kare? Ke bare me bataye the. To Dosto aiye aaj ham blog ke template ko kaise change karte hai? uske bare me mai apne jankari aap logo ke sath share kar raha hoon.



Ham sab jante hai ki jab ham blogspot Platform Par Free Blog banate hai, us waqt apne new blog ke liye ek template ko select karna padta hai, tabhi hamare blog bankar tayar ho jata hai. Jo template blogger par pahle se moajud hai, wo kaafi purana ho chuka hai, aur usme jyada features bhi nahi hai, aise me hamare blog ka traffic bhi nahi badta hai. Kyoki hamare blog ka look utna achha nahi hota hai, agar ham apne blog me ek achha sa custom template ko upload karte hai, to hamare blog ka look achha aur aakarshak hota hai, aur hamare blog ka traffic bhi badta hai.

Also Read-



▶Blog Ki Template (Theme) Change Kyo Kare ?
Ham apne blog par badi mehnat se achhe achhe articles likhte hai, fir bhi agar hamare blog ko visitors pasand nahi karti hai, ya hamare blog ka traffic nahi badta hai, to aise isthiti me hame blog ka template ko change karna Chahiye.
Aise to blogger me pahle se bahut sare free templates de rakhe hai, magar wah bahut purana ho gaya hai, aur uska look utna achha nahi hai.Ham apne blog ko achha look dene ke liye ek achha sa custom template ko upload karna Chahiye taaki visitors hamare blog ko pasand kare, aur achha traffic mile.
▶Blog Ki Template Kaise Hona Chahiye ?
1. Mobile Friendly-
Ham jante hai ki aaj kal smartphone mobile se jyada tar log net chalate hai, aur blog par jyada traffic smartphone se hi aata hai, aise me agar apka blog mobile par sahi se nahi khulega,to visitors apke site par dubara nahi ayenge.
2. SEO Friendly-
Apka template (theme ) SEO Friendly hona Chahiye. Yadi apka template SEO friendly hoga, to apka blog post content search me jyada ayega aur apka blog ranking me bhi sudhar ayega.
3. Fast Loading Template-
Agar aap blogspot Platform Par fast loading wala template ko upload karte hai, to apke blog ka traffic kabhi kam nahi hoga. Ham sab jante hai ki aaj fast loading wala blog ko jyada pasand karte hai.
Ab apko ye to pata chal gaya hai, ki blog ke liye template kaise hona Chahiye.
Ab ham apko template kaha se Download karte hai, use batate hai.
loading...
▶ Template Kaise Aur Kaha Se Download Kare?  
Internet par aise bahut sare websites hai, jaha se aap free me Theme Download kar sakte ho. Mai apko kuch websites ke naam bata raha hoon, aap us websites par jakar apne pasand ka free template ko Download kar sakte ho.
Blogger Blog Template Ko Kaise Upload Ya Change Kare ?
Yaha mai apko kuch step bata raha hoon, aap us step ko follow kare aur apne blog template ko change kare.
Step-1
Blogger blog ki template ko upload karne ke liye sabse pahle aap www.blogger.com website par jaye aur log in kare.
Step-2
Ab aap blog ke dashboard me jaiye.




Step-3
Blog Ke dashboard me jakar template        ( theme ) option par click karke Backup/Restore par click kare.




Step-4
Jaise hi aap Backup/Restore par click karenge. apke samne ek pop- up page khul jayega.aap niche screenshots me dekh sakte ho.




1. Download Theme- Yaha Download Template par click karke apne purana Template Ka Backup Download Kare. Kyoki new template upload karne me kisi prakar ki koi problem ya error aye to aap phir se purana template ko upload kar sakte ho.
2.  Chooge File -Yaha click karke aap jis file par template Download karke save kiye hai, jise aap blog par upload karna chahte hai use select kare.
3. Upload - finally upload par click kare. Jaise hi aap upload par click karenge template upload ho jayega.
Note-Blogger only Xml file ko hi support karti hai Zip file ko support nahi karti ,agar apke pass computer / Laptop hai to koi problem nahi hogi .Yadi aap android mobile phone se blogging karte hai  to Zip file ko Xml file me convert karna padega. 

Android mobile phone se Zip File ko Xml File Me convert karne ke liye ye post padhe. 


I hope apko is post ke jariye blogger blog ki template ko ashani se upload Ya change kar sakte ho. Agar apko ye post achhi lagi hogi to social media par apne Dosto ke sath share kare. Taaki unko bhi ye jankari mil sake. 

Post a Comment

3 Comments